blog

How To Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console

kya aap jante hai ki aap apna android aap publish kar skte hai woh bhi free mai ,Google play store 25$ charge karta hai jo ki har koi pay nai karna chahega, mai aapko aaj aaise alternative btauga jha par aap apne app ko free mai publish kar skte hai, Play store par app dalne ke lea 25$ doller lagta hai ek baar but yeh policy google ki kush had tak thek bhi hai ,agar itna charge na rakhe toh play store par apps ki baadh aa jaegi ,har koi apna app bna kar playstore par upload kar dega ,kush untrusted app bhi play store par apna jgah bna lenge jo ki user ke lea thek nai hai, Aaj kal thunkable jaisi websites par aap apna application aaram se bna kar paisa kma skte hai, bahut sare log earning app bna kar paisa kma rhe hai but main problem us app ko users tak pahuchane ki aati hai ,mai aap ko aaj ek aaise bde app store par publish karne ke bare mai btauga jis se aap aaram se apna aap publish kar skte hai mai aap ko amazon app store par app publish karne ka trika btane ja rha hu ,amazon app store bhi bahut user use karte hai aur amazon app store par almost all apps available hai. Aap niche dea gye step follow kar ke apna app publish kar skte ho free mai.

Publishing Android App Free to Amazon App Store

1: Sign Up Amazon Developer Account By click Following Button
Sign Up Amazon Developer Account

2: After Signing Up You need to Enter the required detail for publishing. Click on Add a New App


Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console

3: App ka name enter kro aur uski category etc select kar ke save button par click kro.



Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console

4: App ki availability set kro ,yeh aap par depend hai ki aap kis county mai apna app dikhana chate ho. Aap price bhi set kar skte hai application ka.


Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console


5: Is tab mai aapko application ka description dena hoga ki aapka app ki bare mai hai ,ek short description and ek long description.


Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console


6: Is tab mai aapko icon set karne pdega application ka according to the requirements ,ek bda sizr 512x512 ka ek small size ka icon dena pdega.


Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console



7:Yeh last step hai , is tab mai aapko apna application (.apk) file ko upload karna pdega aur upload karne k baad Amazon team app ka review kregi agar aapne thek thek detail bhra hua toh aapka aap 24 hrs tak Amazon app store par available ho jaega.


Publish Android App .apk Free Without paying 25$ to Google Console




Maine Jo app upload kia hai woh maine makeroid.io website se bnaya tha ,upload karte waqt koi issue nai aaya ,aap apna earning app asani se upload kar skte hai woh bhi free ,jab aapka download acha ho jae aur paisa aane lag jae tab aap un paiso ka google console par purchase kar skte hai ,fir bhi yeh app par depend karta hai agar aap confident ho ki aapka aap chal jaega toh aap bejijak apna app play store par 25$ use kar ke kar skte ho. suruvat mai amazon app store aur bhi alternative available hai jo aapko app publish karne ka moka deta hai , aap chho toh aur alternatives bhi try kar skte ho.

Makeroid.io ki .aia file download karne ke lea yha par niche dea gye button par click kre

Click here to Download Premium .aia file Free

Post a Comment

4 Comments

  1. amazon app store ekdam bogus hai koi jhankta dekhta bhi nahi hai, koi dhang ka trick laya karo...

    ReplyDelete
  2. Bhai kisi bhi chhote developer ke liye ye platform achchha hai.
    Varna bina google play store ke woh khan apni app ki ad karne jayega.

    Thanks for sharing.

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhai yeh plateform itna nahi chalta but amazon ke official store par available ho jaega , Amazon store par apps upload karna free hai but playstore ka koi bhi aur platform mukabla nahi kar sakta ,fir bhi try kar sakte ho ,amazon ,apk mirror aur bhi websites hai jo amazon app store se jayda chalti hai ,try your luck

      Delete